Songs# :

Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke lyrics in English, Hindi - Pyaasa (1957) | Mohammed Rafi

Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke song is Bollywood, Hindi song from movie Pyaasa (1957) sung by Mohammed Rafi. Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke lyrics of this song is penned down by Sahir Ludhianvi while music of the song is given by Sachin Dev Burman.

Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke song details

Song : Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke
Movie : Pyaasa (1957)
Singer(s) : Mohammed Rafi
Composer(s) : Sachin Dev Burman
Lyricist(s) : Sahir Ludhianvi
Views: 12

Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke lyrics

Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke lyrics in

                        
Ye kuche, ye ha aaa, ghar dilkashi ke
Ye kuche, ye nilaam ghar dilkashi ke
Ye lutate hue kaaravaa zindagi ke
Kaha hai, kaha hai muhafiz khudi ke
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai, kaha hai, kaha hai

Ye purpech galiya, ye badnaam bazaar
Ye gumnaam raahi, ye sikko ki jhankaar
Ye issmat ke saude, ye saudo pe takraar
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai, kaha hai, kaha hai

Ye sadiyo se bekhauf sahami si galiya
Ye masali hui adhkhili zard kaliya
Ye bikati hui khokhali rangraliya
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai, kaha hai, kaha hai

Vo ujle daricho me payal ki chhan chhan
Thaki haari saanso pe table ki dhan dhan
Vo ujle daricho me payal ki chhan chhan
Thaki haari saanso pe table ki dhan dhan
Ye beruh kamro me khaasi ki than than
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai, kaha hai, kaha hai

Ye phulo ke gajare, ye piko ke chhite
Ye bebaak nazre, ye gustaakh fiqre
Ye dhalke badan aur ye bimaar chehre
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai, kaha hai, kaha hai

Yaha pir bhi aa chuke hai, java bhi
Tan-o-mand bete bhi, abbaa miya bhi
Ye bivi bhi hai, ye bivi bhi hai, 
Aur bahan bhi, aur maa bhi
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai, kaha hai, kaha hai

Madad chahati hai ye havaa ki beti
Yashodaa ki ham_jins radha ki beti
Madad chahati hai ye havaa ki beti
Yashodaa ki ham_jins radha ki beti
Payambar ki ummat zulekhaa ki beti
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai, kaha hai, kaha hai

Zara mulk ke rahbaro ko bulaao
Ye kuche ye galiya ye manzar dikhaao
Jinhe naaz hai hind par unko laao
Jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
Kaha hai, kaha hai, kaha hai
                    

Lyrics by : Sahir Ludhianvi



Found Any mistake in Lyrics ? Please comment below in the Comment box.

FAQ about "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" song

Question: Who is the singer of "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" song?

Ans: "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" song is sung by Mohammed Rafi.

Question: Who is the composer of "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" song?

Ans: "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" song music composed by Sachin Dev Burman.

Question: Who is the lyricist of "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" song?

Ans: Sahir Ludhianvi written the lyrics of "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke".

Question: What is the name of "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" song movie?

Ans: "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" song is from movie "Pyaasa (1957)".

"Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" गाने के बारे में अक्सर पूछे जाने वाले प्रश्न

प्रश्न: "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" गाने के गायक कौन हैं?

उत्तर: "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" गाना Mohammed Rafi ने गाया है।

प्रश्न: "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" गीत के संगीतकार कौन हैं?

उत्तर: "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" गीत का संगीत Sachin Dev Burman द्वारा रचित है।

प्रश्न: "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" गीत के गीतकार कौन हैं?

उत्तर: "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" के गीत Sahir Ludhianvi ने लिखे है।

प्रश्न: "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" गाने वाली फिल्म का नाम क्या है?

उत्तर: "Ye Kuche Ye Nilaam Ghar Dilkashi Ke" गाना फिल्म "Pyaasa (1957)" से है।

More songs you may like by singer Mohammed Rafi

More songs you may like by composer Sachin Dev Burman

More songs you may like by lyricist Sahir Ludhianvi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *