Songs# :

Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho lyrics in English, Hindi - Dharmputra (1961) | Asha Bhosle

Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho song is Bollywood, Hindi song from movie Dharmputra (1961) sung by Asha Bhosle. Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho lyrics of this song is penned down by Sahir Ludhianvi while music of the song is given by N Datta.

Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho song details

Song : Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho
Movie : Dharmputra (1961)
Singer(s) : Asha Bhosle
Composer(s) : N Datta
Lyricist(s) : Sahir Ludhianvi
Views: 8

Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho lyrics

Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho lyrics in

                        
Main jab bhi akeli hoti hu
Main jab bhi akeli hoti hu, tum chupke se aa jaate ho
Aur jhaank ke meri aankho me, bite din yaad dilaate ho
Bite din yaad dilaate ho

Mastaana hawa ke jhonko se har baar wo parde ka hilna
Parde ko pakadne ki dhun me do ajnabi haatho ka milna
Aankho me dhua sa chha jaana, saanso me sitaare se khilna
Bite din yaad dilaate ho, bite din yaad dilaate ho

Mud-mud ke tumhaara raste me takna wo mujhe jaate-jaate
Aur mera thithak kar ruk jaana chilman ke qarib aate-aate
Nazro ka taras kar rah jaana ek aur jhalak paate-paate
Bite din yaad dilaate ho, bite din yaad dilaate ho

Barsaat ke bhige mausam me
Barsaat ke bhige mausam me, sardi ki thitharti rato me
Pahro wo yu hi baithe rahna haatho ko pakadkar haatho me
Aur lambi lambi ghadiyo ka kat jaana baato baato me
Bite din yaad dilaate ho, bite din yaad dilaate ho

Ro-ro ke tumhe khat likhti hu
Ro-ro ke tumhe khat likhti hu aur khud padhkar ro leti hu
Haalaat ke tapte tufaan me jazbaat ki kashti kheti hu
Kaise ho kahaan ho kuchh to kaho
Kaise ho kahaan ho kuchh to kaho main tum ko sadaaye deti hu
Main jab bhi akeli hoti hu
Main jab bhi akeli hoti hu, tum chupke se aa jaate ho
Aur jhaank ke meri aankho me, bite din yaad dilaate ho
Bite din yaad dilaate ho
                    

Lyrics by : Sahir Ludhianvi



Found Any mistake in Lyrics ? Please comment below in the Comment box.

FAQ about "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" song

Question: Who is the singer of "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" song?

Ans: "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" song is sung by Asha Bhosle.

Question: Who is the composer of "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" song?

Ans: "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" song music composed by N Datta.

Question: Who is the lyricist of "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" song?

Ans: Sahir Ludhianvi written the lyrics of "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho".

Question: What is the name of "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" song movie?

Ans: "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" song is from movie "Dharmputra (1961)".

"Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" गाने के बारे में अक्सर पूछे जाने वाले प्रश्न

प्रश्न: "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" गाने के गायक कौन हैं?

उत्तर: "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" गाना Asha Bhosle ने गाया है।

प्रश्न: "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" गीत के संगीतकार कौन हैं?

उत्तर: "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" गीत का संगीत N Datta द्वारा रचित है।

प्रश्न: "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" गीत के गीतकार कौन हैं?

उत्तर: "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" के गीत Sahir Ludhianvi ने लिखे है।

प्रश्न: "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" गाने वाली फिल्म का नाम क्या है?

उत्तर: "Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho" गाना फिल्म "Dharmputra (1961)" से है।

More songs you may like by singer Asha Bhosle

More songs you may like by composer N Datta

More songs you may like by lyricist Sahir Ludhianvi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *