Songs# :

Dukh Sukh Tha Ek Sabka lyrics in English, Hindi - Jashn (2006) | Pankaj Udhas

Dukh Sukh Tha Ek Sabka song is Album song from album Jashn (2006) sung by Pankaj Udhas. Dukh Sukh Tha Ek Sabka lyrics of this song is penned down by Zafar Gorakhpuri while music of the song is given by Pankaj Udhas. Music label of this song is © T-Series

Dukh Sukh Tha Ek Sabka

Dukh Sukh Tha Ek Sabka song details

Song : Dukh Sukh Tha Ek Sabka
Album : Jashn (2006)
Singer(s) : Pankaj Udhas
Composer(s) : Pankaj Udhas
Lyricist(s) : Zafar Gorakhpuri
Genre(s) : Ghazal
Music Label(s) : © T-Series
Views: 14

Dukh Sukh Tha Ek Sabka lyrics

Dukh Sukh Tha Ek Sabka lyrics in

                        
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana

Dada hai aate the jab
Mitti ka ek ghar tha
Choron ka koi ghatka
Na dakuon ka dar tha
Khaate the rookhi sookhi
Sote the neend gehri
Shaamein bhari bhari thi
Aabaad thi dupehri
Santosh tha dilon ko
Maathe pe bal nahin tha
Dil mein kapat nahin tha
Aankhon mein chhal nahin tha
Hain log bhole bhale
Lekin the pyaar wale
Duniya se kitni jaldi
Sab ho gaye ravaana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana

Abba ka waqt aaya
Taaleem ghar mein aayi
Abba ka waqt aaya
Taaleem ghar mein aayi
Taaleem saath apni
Taaza vichaar laayi
Aage rawayaton se
Badhne ka dhayaan aaya
Mitti ka ghar hata to
Pakka makaan aaya
Daftar ki naukri thi
Tangah ka sahara
Maalik pe tha bharosa
Ho jaata tha guzara
Paisa agar chekam tha
Phir bhi na koi gham tha
Kaisa bhara poora tha
Apna gareeb khana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana

Ab mera daur hai yeh
Koyi nahin kisi ka
Ab mera daur hai yeh
Koyi nahin kisi ka
Har aadmi akela
Har chehra ajnabee sa
Aansoon na muskuraahat
Jeevan ka haal aisa
Apni khabar nahin hai
Maya ka jadoo aisa
Paisa hai martaba hai
Izzat wikar bhi hai
Naukar hain aur chaakar
Bangla hai car bhi hai
Zar paas hai zameen hai
Lekin sakoon nahin hai
Paane ke vaaste kuch
Kya kya pada gavaana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana

Aye aane wali naslon
Aye aane wale logon
Bhoga hai humne jo kuch
Woh tum kabhi na bhogo
Jo dukh tha saath apne
Tumse kareeb na ho
Peeda jo humne jheli
Tumko naseeb na ho
Jis tarah bheed mein hum
Zinda rahe akele
Woh zindagi ki mehfil
Tumse na koyi le le
Tum jis taraf se guzro
Mela ho roshni ka
Raas aaye tumko mausam
Ekkiswi sadi ka
Hum to sakoon ko tarse
Tum par sakoon barse
Anand ho dilon mein
Jeevan lage suhaana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana

Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana.
                    

Lyrics by : Zafar Gorakhpuri



Found Any mistake in Lyrics ? Please comment below in the Comment box.

FAQ about "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" song

Question: Who is the singer of "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" song?

Ans: "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" song is sung by Pankaj Udhas.

Question: Who is the composer of "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" song?

Ans: "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" song music composed by Pankaj Udhas.

Question: Who is the lyricist of "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" song?

Ans: Zafar Gorakhpuri written the lyrics of "Dukh Sukh Tha Ek Sabka".

Question: What is the name of "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" song album?

Ans: "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" song is from album "Jashn (2006)".

"Dukh Sukh Tha Ek Sabka" गाने के बारे में अक्सर पूछे जाने वाले प्रश्न

प्रश्न: "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" गाने के गायक कौन हैं?

उत्तर: "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" गाना Pankaj Udhas ने गाया है।

प्रश्न: "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" गीत के संगीतकार कौन हैं?

उत्तर: "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" गीत का संगीत Pankaj Udhas द्वारा रचित है।

प्रश्न: "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" गीत के गीतकार कौन हैं?

उत्तर: "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" के गीत Zafar Gorakhpuri ने लिखे है।

प्रश्न: "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" गाने वाली एल्बम का नाम क्या है?

उत्तर: "Dukh Sukh Tha Ek Sabka" गाना एल्बम "Jashn (2006)" से है।

More songs you may like by singer Pankaj Udhas

More songs you may like by composer Pankaj Udhas

More songs you may like by lyricist Zafar Gorakhpuri

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *