Songs# :

Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya lyrics in English, Hindi - Sadhna (1958) | Lata Mangeshkar

Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya song is Bollywood, Hindi song from movie Sadhna (1958) sung by Lata Mangeshkar. Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya lyrics of this song is penned down by Sahir Ludhianvi while music of the song is given by N Datta.

Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya song details

Song : Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya
Movie : Sadhna (1958)
Singer(s) : Lata Mangeshkar
Composer(s) : N Datta
Lyricist(s) : Sahir Ludhianvi
Views: 19

Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya lyrics

Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya lyrics in

                        
Aurat ne janam diya mardo ko , mardo ne use bazar diya
Jab ji chaha masla kuchla, jab ji chaha dutkar diya 
Aurat ne janam diya mardo ko

Tulati hai kahi dinaro me, bikti hai kahi bazaro me 
Nangi nachavai jati hai, aiyyasho ke darbaro me 
Ye vo beizzat chiz hai jo, bat jati hai izzatdaro me
Aurat ne janam diya mardo ko

Mardo ke liye har zulm rava, aurat ke liye rona bhi khata 
Mardo ke liye lakho seje, aurat ke liye bas ek chita 
Mardo ke liye har aish ka haq, aurat ke liye jina bhi saza
Aurat ne janam diya mardo ko

Jin hotho ne inko pyar kiya, un hotho ka vyapar kiya 
Jis kokh me inka jism dhala, us kokh ka karobar kiya 
Jis tan se uge kopal ban kar, us tan ko zalil-o-khar kiya 
Aurat ne janam diya mardo ko

Mardo ne banayi jo rasme, unko haq ka farmaan kaha 
Aurat ke zinda jalne ko, kurbani aur balidaan kaha 
Kismat ke badle roti di, usko bhi ehsaan kaha
Aurat ne janam diya mardo ko

Sansaar ki har ek besharmi, gurbat ki god me palti hai 
Chaklo me hi aa ke rukati hai, faako se jo raah nikalti hai 
Mardo ki havas hai jo aksar, aurat ke paap me dhalti hai 
Aurat ne janam diya mardo ko

Aurat sansaar ki qismat hai, fir bhi taqdir ki heti hai 
Avatar payambar janati hai, phir bhi shaitan ki beti hai 
Ye vo badaqismat maa hai jo, beto ki sez pe leti hai
Aurat ne janam diya mardo ko
Aurat ne janam diya mardo ko, mardo ne use bazar diya
Jab ji chaha masla kuchla, jab ji chaha dutkar diya 
Aurat ne janam diya mardo ko
                    

Lyrics by : Sahir Ludhianvi



Found Any mistake in Lyrics ? Please comment below in the Comment box.

FAQ about "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" song

Question: Who is the singer of "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" song?

Ans: "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" song is sung by Lata Mangeshkar.

Question: Who is the composer of "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" song?

Ans: "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" song music composed by N Datta.

Question: Who is the lyricist of "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" song?

Ans: Sahir Ludhianvi written the lyrics of "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya".

Question: What is the name of "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" song movie?

Ans: "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" song is from movie "Sadhna (1958)".

"Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" गाने के बारे में अक्सर पूछे जाने वाले प्रश्न

प्रश्न: "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" गाने के गायक कौन हैं?

उत्तर: "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" गाना Lata Mangeshkar ने गाया है।

प्रश्न: "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" गीत के संगीतकार कौन हैं?

उत्तर: "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" गीत का संगीत N Datta द्वारा रचित है।

प्रश्न: "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" गीत के गीतकार कौन हैं?

उत्तर: "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" के गीत Sahir Ludhianvi ने लिखे है।

प्रश्न: "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" गाने वाली फिल्म का नाम क्या है?

उत्तर: "Aurat Ne Janam Diya Mardo Ko, Mardo Ne Use Bazaar Diya" गाना फिल्म "Sadhna (1958)" से है।

More songs you may like by singer Lata Mangeshkar

More songs you may like by composer N Datta

More songs you may like by lyricist Sahir Ludhianvi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *